This naat (nasheed) is one of my favourites:) I like the lyrics a lot.
Na kahin se door hain manzilein, na koi kareeb ki baat hain
Jisein chahein usko nawaz, dein yeh Dar-e-Nabi ki baat hain
Na kahin se door hain manzilein, na koi kareeb ki baat hain
Jisein chahein usko nawaz dein, yeh Dar-e-Habib ki baat hain
Jisein chaha dar pe bula liya, jisein chaha apna bana liya
Yeh barein karam ke hain faislein, yeh barein naseeb ki baat hain
Woh bhatak ke rahh mein reh gai, yeh machal ke dar se lipat gai
Woh kisi amer ki shaan thi, yeh kisi ghareeb ki baat hain
Mujhe jaan se bhar ke aziz dil, mera dard dil se aziz tar
Hain joh dard se bhi aziz tar, woh mere tabib ki baat hain
Mein buron se lakh bura sahin, magar unse hain mera vasta
Meri laaj rakh le mere khuda, ye tere Habib ki baat hain
Tujhe e-munawar-e be-nawa, dar-e-shehar se chahi hain or kya
Joh naseeb ho kabhi saamna, to barein naseeb ki baat hain
Na kahin se door hain manzilein, na koi kareeb ki baat hain
Jisein chahein usko nawaz, dein yeh Dar-e-Nabi ki baat hain