Mujhpe bhi chasme-karam e mere Aaqa karna
Haq tou mera bhi hain (na) rehmat ka takaza karna
Kankaron ka tere eejaz se woh bol uthna
Woh darakhton ka teri deed pe jhoma karna
Mujhpe bhi chasme-karam
Aaqa, tou kisi ko bhi uthata nahi apne dar se
Ke teri shan Aaqa, ke shayan nahi aisa karna
Mujhpe bhi chasme-karam
Aur un sahaba ki khush-atwaar nigahon ko salaam
Jin ka maslak tha tawaf-e-rukhe-zaiban karna
Mujhpe bhi chasme-karam
Mein ik zarra ho mujhe vusate sehra dede
Ke tere bas mein hei katron ko bhi darya karna
Mujhpe bhi chasme-karam
Mujhpe mehshar mein Naseer unki nazar par hi gayi
Kehne waale jise kehte hai khuda ka, karna
Mujphe bhi chasme-karam e mere Aaqa karna
Haq tou mera bhi hai rehmat ka takaza karna
-naat /nasheed read by Horia Faheem Qadri-