Jab ham koi baat me vazn chahte hon, tou Islam ka nazariya samne lane ki koshish karte hai. Kisi ache amal, achi baat mein asr lane keliye uspe khud uska amal hona bohot zarori hai. Theek aise hi, jab koi kisi ko namaz ki dawat dein, to wo khud be-namazi na ho. Aksar kaha jata hai, ke aanso ka matlab hai ke dil narm hai. Yaha thori si clarification ki zarorat shayd hai. Aanso ko sirf Allah vazan kar sakte hai. Lekin phir bhi, koi tou pehchan hogi? Kounsa aanso asli, kounsa aanso nakli? Niyat aur ikhlas to zarori he hi. Lekin ek aur baat bhi hai, jise nazar andaz nahi kar sakte. Woh ye, ke aanso Allah, Hazoor Paak ﷺ, Islam, Iman ki mohabbat ki vajeh se hai, ya ke dunya ki muhabbat ke vajeh se? Vazan tou sirf us aanso mein hai, jo Islam ki muhabbat ki vajeh se girra ho. Chahe woh ruh ka rona ho, ya aanso ki shakl mein aankh se tapke. Allah hamein aur sare ummation ko Islam ki muhabbat ki vajeh se aankhon aur ruh se aanso naseeb ho. Aur vo aanso aisa kamal kar jaye, ke hamara imaan aur amal, zahiri aur batni tarike se, mazbot hojaye. Aamen.
