Al-Asma-Ul-Husna – the Most Beautiful Names

Taken out of a book I have with the names of Allah Subhanatalah. I will here write names of Allah with their translation and what bounty one will achieve from reading them.

Hadrat Abu Harira Radi Allah Talah Anhå se ravaiat hain ke Hazoor Aqdas Muhammad Sallahå Alehi Waàlehi Wasallam ka irshadepak hain ke:

Allah talah farmatein hain ke me apne bandhon ke sath hon, or jab woh mujhe yad karta hain, Me uske sath hota hon, agar woh mujhe apne dil me yaad karta hain Mein bhi usein apne dil me yaad karta hon, agar woh mujhe kisi mehfil mein mera zikr karta hain to Mein bhi usein us se behtar mehfil mein zikr karta hon (yani faristhon se), or agar woh mere taraf ek haath bharata hain, tou Mein do haath uski taraf motavajo hota hon, or agar woh mere taraf chal kar ata hain Mein uske taraf dhaur kar ata hon.

Allah ho – Khuda ka naam. Joh shahks rozana ek hazaar martaba Ya Allah parhein gha InshaAllah uske dil se tamam shakh or shohbaat door ho jayein ghi or yakeen ki kuvvat naseeb ho ghi. Joh la ilaz mareez Ya Allah bakasrat ye wird karein gha or uske baad shafa ki dua mange gha, tou usko shafa naseeb ho ghi.

Arrahmaan – Behad reham karne wala. Rozana har namaz ke baad so martaba Ya Rahmanå parthne wale ke dil se har kism ki sakhti or ghaflat InshaAllah door ho jayen ghi.

Arrahimo – Barha meherban. Joh shakhs rozana har namaz ke baad 100 martaba Ya Rahimo parhein gha, tamam duniyawi afton se mehfoz rahein gha, or tamam makhlok us par meherban ho jaye ghi, InshaAllah.

Al Malikå – Hakiki Badshah. Rozana subah ke namaz ke baad kasrat se ya Malikå parthnein wale ko Allah talah ghani farma dein ghe. InshaAllah.

Al Kodduså – Burhaiyon se paak zaat. Joh shakhs rozana jawal ke baad is ism ko kasrat se parthein gha, InshaAllah uska dil rohani marz se paak ho jayen gha.

As Salamo – Be aib zaat. Joh shakhs kasrat se is ism ko parthein gha, InshaAllah tamam afton se mehfoz rahein gha. Joh shakhs is ism ko 115 martaba par kar bemar par dam karein gha Allah talah usko sehat or shafa ata farmayein ghe.

Al Mominå – Aman or iman dene wala. Joh shakhs kisi khauff ke waqt is ism ko 230 martaba parhein gha, InshaAllah har tarah ke khauff or nuksan se mehfoz rahein gha. Joh shakhs is ism ko parhtein gha, ya likh kar paas rakhein gha uska zahir or batin Allah talah ke aman me rahein gha.

Al Mohaiminå – Nighebaan. Joh shakhs gusl kar ke do rakat namaz ada kar ke siddique dil se 100 martaba ye ism parhein, Allah talah uska zahir or batan paak farmayein ghe.

Al Azizå – Sab par ghalib. Joh shakhs 40 din tak 40 martaba is ism ko parthein gha, Allah talah usko muazziz bana dein gha. Or joh shakhs is isme mubarik ko namazein fajr ke bad 41 martaba partha rahein gha woh InshaAllah kisi ka mothaj na hoga or zillat ke baad izzat payen gha.

Al Jabbarå – Sab se zabardast. Joh shakhs is isme mubarik ko 226 martaba parthein gha InshaAllah talah usein zalimon ke ke zulm se mehfoz rakhein gha.

Al Motakabbirå – Bharai or bozorgi wala. Joh shakhs kasrat se is ism ka wird rakhein gha Allah talah usein izzat or bharai ata farmayin ghe. Or agar har kam ke ibtida mein bakasrat isein parthein tou InshaAllah is mein woh kamiyab hoga.

Al Khaliqå – Peda karne wala. Joh shakhs 7 din tak lagatar 100 martaba is ism ko parthein gha, InshaAllah tamam afton se mehfoz rahein gha. Joh shakhs hamesha ye ism parthein gha tou Allah paak ek farishta peda kar detein hain, joh uski taraf se humesha ibadat karta hain or iss se uska chehra munavar rehta hain.

Al Bariå – Jaan dalne wala. Joh aurat 7 din rozein rakhein or pani se aftar kar ke 21 martaba Al Bariå Al Musavirå parhein tou InshaAllah tou InshaAllah usein aulad-e-narina naseeb hogi.

Al Musavirå – Tasvir banane wala. Be aulad aurat is isme mubarik par is tarha amal karein ke 7 rozein rakhein or har roz aftar ke waqt in 3 naamon ko (yani Ya Khaliqå, Ya Bariå, Ya Musavirå) 21 martaba parh kar eek glass paani par dam karein aur is paani se aftar karein, tou InshaAllah usein aulad hasil hogi.

Al Ghhaffarå – Dharguzar aur pardaposi karnein wala. Joh shakhs baad namaz-e-Jhummah 100 martaba is ism ko partha karein gha, InshaAllah us pe maghfarat ke ausar zahir honein lage ghe.

Al Kahharå – Sab ko apne kabon mein rakne wala. Joh shakhs duniya ki muhabbat mein gireftar ho, woh kasrat se is isme mubarik ko parhein tou duniya ki mohabbat uske dil se InshaAllah dor ho jaye ghi aur khuda ki muhabbat peda ho jaye ghi.

Al Wahhabå – Sab kuch ata karne wala. Joh shakhs fikr o fakhein mein gireftar ho, woh kasrat se is isme mubarik ko parha karein, ya likh kar apne pas rakhein, ya jasht ki namaz ke akhri sajde mein 40 martaba ye ism parha karein. Tou Allah fikr o fakhein se InshaAllah nizat de dein ghe.

Al Razzakå – Bohot barha rozi dene wala. Joh shakhs namaz subho se pehle apne makan ke 4 konon par 10 martaba yeh ism parh kar dam karein gha, Allah talah is par rizk ke darwazein InshaAllah khol dein ghe or bimari harkiz ghar nahi aye ghi. Dahine kone se shoro karein or monh kiblein ki taraf rakhein.

Al Fattahå – Bohot barha muskil khusha. Joh shakhs namazein fajr ke bad, donon haath sinein par band kar 70 martaba yeh ism parha karein gha, InshaAllah uska dil nor-e-iman se munavar ho jaye gha.

Al Alimå – Bohot wasi ilm wala. Joh shakhs kasrat se ya Alimå ka wird karein gha, Allah talah us par InshaAllah ilm or màrfat ke darwazein khol dein ghe.

Al Kabizo – Rozi tang karne wala. Joh shakhs roti ke 4 lokmon par is ism ko likh kar 40 din tak khaye gha, bhook, pyas, zakhm, or dard wageira ki taklif se InshaAllah talah mehfoz rahein gha.

Al Basito – Rozi kushadh karne wala. Joh shakhs namaz chasht ke bad asman ki janib haath utha kar rozana 10 martaba is ism ko parhein gha or monh par haath perein gha, Allah talah usein InshaAllah ghani bana dein ghe or woh kabh kisi ka mohtaj na hoga.

Al Khafizoh – Past kar deine wala. Joh shakht is isme mubarik ko 500 martaba parhein gha, Allah talah uski haajetein poori or muskilaat door farma dein gha.

Al Rafiå – Boland karne wala. Joh shakhs har mahine ki chaudwi raat ko adhi raat mein 100 martaba ye ism parhein gha, tou Allah talah usein InshaAllah makhlok se beniaz bana dein ghi.

Al Måizzå – izzat deine wala. Joh shakhs piir ya jhumein ke din baad namaz maghrib 40 martaba yeh ism parhein gha. Allah talah usko logon mein InshaAllah ba-izzat or bavakar bana dein ghe.

Al Mozillå – Zillat deine wala. Joh shakhs 75 baar parh kar dua karein gha tou Allah usein InshaAllah hasadon, zalimon or dhusmanon ke shar se mehfoz rakhein gha.

Al Basirå – Sab kuch dekhe wala. Joh shakhs namaz e jummah ke baad 100 martaba ya Basirå parhein gha Allah uski nigha mein InshaAllah roshni ata karein gha or dil mein noor peda farmayein gha.

Al Vadodå – Bhara muhabbat karne wala. Joh shakhs 1000 martaba ya Vadodå parhein gha or khanein par dam karein gha, or biwi ke saath beth kar woh khana khaye gha, tou InshaAllah mian biwi ka chaghra khatm ho jaye gha or muhabbat peda ho jaye ghi.

Al Baiså – Mardon ko zinda karne wala. Joh shakhs rozana sone ke time par sine par haath rakh kar 101 martaba ya Baiså parha karein gha, InshaAllah uska dil ilm or hikmat se zinda hojaye gha.

Al Shahidå – Har jagah hazir or nazir. Jis shakhs ki biwi ya aulad nafarman ho, woh subho ki waqt uske pehsani par haath rakh kar 21 martaba ya Shahidå parh kar dam karein InshaAllah farmabardar ho jaye ghe.

Al Haqqå – Joh haq o barkarar rehne wala. Joh shakhs chakor kagaz ke 4 konon par Al Haqqå likh kar, sehar ke waqt kagaz ko hatheeli par rakh kar asmaan ki taraf buland kar ke dua karein, InshaAllah gumshuda shakhs ya sama mil jaye gha. Woh InshaAllah har aft se mehfoz rahein gha.

Al Vakilå – Bhara karsaaz. Joh shakhs kisi bhi asmani afat ke khauff ke waqt woh bakasrat ya Vakilå ka wird karein gha or is ism ko apna vakil banae gha, woh InshaAllah har afat se mehfoz rahein gha.

Al Kaviyo – Bhara karsaaz. Joh shakhs wakiye mein hi kamzor or mazlom hain woh is zulm or takat se dushman ko daffah karne keliye is ism ko parhein. InshaAllah is se mehfoz rahein gha. (Na haq ye aml harkiz na karein).

Al Matino – Shadeed kuvat wala. Jis aurat ka dodh na ho, woh Al Matino kagaz par likh kar dhoye kar pelaye, InshaAllah khoob dodh hoga.

Al Valiyo – Bhara madadghar or hamaiti. Joh shakhs apni biwi ke adaton se khush na ho, woh jab uske samne jaye, is ism ko parha karein, InshaAllah woh nek ho jaye ghi.

Al Hameedå – Tarif ke laik. Joh shakhs 45 din tak lagatar 93 martaba tanhai me ya Hameedå parha karein gha uski tamam bhori adatein InshaAllah dor ho jaye ghi.

Al Mubdiyo – Pehli baar peda karne wala. Joh shakhs sehri ke waqt haamla aurat ke stomach par haath rakh kar 99 martaba ya Mabdiyo parhein gha InshaAllah na uska bacha pehle faut hoga or na waqt se pehle peda hoga.

Al Moidå – Dobara peda karne wala. Ghumshuda shakhs ko wapis bhulane keliye yeh amal barha acha hain. Jab ghar ke tamam afrad sojaye do ghar ke 4 konon mein 70 martaba ya Moidå parhein, InshaAllah 7 din tak ya woh wapis ajaye gha ya uska pata lag jaye gha.

Al Mohyi – Zindagi dene wala. Joh shakhs bimar ho, woh bakasrat al Mohyi ka wirk rakhein ya kisi dosrein bimar par dam karein, tou InshaAllah sehatyab hojaye gha.

Al Måmito – Maut dene wala. Jiss shakhs ka nafs uske kabon mein na ho, woh sotein waqt sinein par haath rakh kar ke Al Måmito partheiin parthein sojaye tou InshaAllah nafs kabo mein rahein gha.

Al Hayyo – Hamesha hamesha zinda rehne wala. Joh shakhs rozana 3000 martaba Al Hayyo ka wird rakhein, woh InshaAllah kabhi bhi bimar na hoga.

Al Kayyomå – Sab ko kaim or sambhalne wala. Joh shakhs is isme mubarik ka wird rakhein gha InshaAllah logon mein uski izzat or sukh ziada ho or tanhai me beth kar wird karein tou InshaAllah Khushal ho jaye. Joh shakhs suboh ki namaz ke bad suraj nikalne tak ya Hayyo ya Kayyomå ka wird kiya karein, InshaAllah uski susti door hojaye ghi.

Al Vajidå – Har cheez ko paane wala. Joh shakhs khanein katein waqt ya Vajidå ka wird rakhein gha tou uske khanein ki joh ghaza hain woh uske kalab ke liye InshaAllah takat or kuvvat or nooraniyat ka bais banein ghi.

Al Majidå – Buzorghi or bharai wala. Joh shakhs is ism ko tanhai me is kadar parhein ke bakhud hojaye tou InshaAllah uski kalb par Nor-e-ilahi zahir hogi.

Al Wahidå – Akela, tanha. Joh shakhs 1000 martaba rozana Al Wahidå Al Ahadå parha karein, Uske dil se InshaAllah makhlok ki muhabbat or khauff jata rahein gha. Jiss shakhs ki aulad na hot hon, woh is ism ko likh kar apne paas rakhein, InshaAllah saliha aulad naseeb hogi.

Al Ahadå – Akela. Joh shakhs 1000 martaba rozana Al Wahidå Al Ahadå parha karein, Uske dil se InshaAllah makhlok ki muhabbat or khauff jata rahein gha. Jiss shakhs ki aulad na hot hon, woh is ism ko likh kar apne paas rakhein, InshaAllah saliha aulad naseeb hogi.

Al Assamadå – Beniyaz. Joh shakhs sehri ke waqt sajde me sar rakh kar yeh ism 115 ya 125 martaba parhein, usko InshaAllah zahiri or baatni sachai naseeb hogi. Aur joh shakhs bavozo is ism ka wird jari rakhein woh InshaAllah makhlok se beniyaz hojaye gha.

Al Kadirå – Kudrat wala. Agar kisi shakhs ko koi kam me dushwari pesh aye to is ism ko 41 martaba parhein InshaAllah wo dushwari us se door hojaye ghi.

Al Muktaderå – Poori kudrat wala. Johs shakhs so kar uthne ke bad bakasrat is isme mubarik ka wird karein ya kam as kam 20 martaba parha karein, InshaAllah uske tamam kam asan aur drust ho jaye ghe.

Al Mokaddimå – Pehle or aage karne wala. Joh shakhs har waq ya Mukaddimå parha karein gha woh InshaAllah Allah ka farmabardar ban jaye gha.

Al Måakhirå – Phechein or badme rakhne wala. Joh shakhs kasrat se ya Måakhirå parhein gha InshaAllah sachi tauba kabol hogi. Aur joh shakhs rozana 100 martaba is ism ka wird pabandagi se karein gha usein Haq Talah ka esa kurb naseeb hoga ke jis ke siwa usko chain na aye gha.

Al Awwalå – Sab se pehle. Jiss shakhs ko larka na hota ho, woh 40 din tak 40 martaba rozana is isme mubarik ka wird karein tou InshaAllah uski murad pori hogi. Joh shakhs musafir ho woh yeh ism jhummeh ke din 1000 martaba parhein tou InshaAllah apne watan wapis phonchein gha.

Al Akhirå – Sab ke baad. Joh shakhs rozana 1000 martaba yeh ism parha karein uske dil se ghairAllah ki muhabbat door hojaye ghi aur InshaAllah sari umr ki kohtaiyon ka kaffara hojaye gha aur khatma-bil-khair hoga.

Azzahirå – Zahir. Joh shakhs ashrak namaz ke baad 500 martaba ka wird kiya karein gha, Allah talah uski ankhon InshaAllah roshni or dil mein noor ata farmayin ghe.

Al Batinå – Poshida. Joh shakhs rozana 33 martaba ya Batinå parha karein gha InshaAllah uspe asrar-e-batni zahir hone lagein ghi aur uske kalb mein mohabbatein Ilahi peda hogi.

Al Mutaàli – Sab se buland or bartar. Joh shakhs kasrat se is isme mubarik ka wird rakhein gha InshaAllah uski tamam muskilat rafa or daffa hogi.

Al Barrå – Barha acha salok karne wala. Joh shakhs sharab noshi, zina kari ya wagaira badkarion med gireftar ho, rozana 7 martaba is ism ko parhein InshaAllah in cheechon ki chaahat jaati rahein ghi.

Attavabå – Bohot ziada tauba kabol karne wala. Joh shakhs chast ki namaz ke baad is ism ko 320 martaba parhein gha tou InshaAllah usein sachi tauba naseeb hogi. Aur joh shakhs kasrat se is ism ko parhein gha InshaAllah uske tamam kaam asan honge.

Al Muntakimå – Badla lene wala. Joh shakhs haq par ho or us se badla lene ki kuvvat na ho tou woh 3 jhummein tak bakasrat yeh wird karein. InshaAllah Allah talah khud hi us se intekam le le gha.

Al Affåvvå – Bohot ziada maaf karne wala. Joh shakhs kasrat se ya Affåvvå parhein gha InshaAllah talah uskein gunahon ko Allah talah maaf farma dein ghe.

Arraofå – Bohot ziada mohabbat karne wala. Joh shakhs bakasrat ya Raofå ka wird jaari rakhein gha InshaAllah maklok us par or woh maklok par meherban ho gha. Joh shakhs 10 martaba drud sharif or 10 martaba yeh ism parhein tou InshaAllah uska ghussa rafa ho jaye gha. Or agar dosrein gadabnak shakhs par dam karein tou uska ghussa bhi rafa ho jaye gha.

Malikålmålki – Målkon ka malik. Joh shakhs ye isme mubarik partha rahein gha InshaAllah ghani or logon se beniyaz farma dein ghe. Aur woh kisi ka mohtaj bhi na reh gha.

Zhul-jalale-wal-ikram – Azmat or jamal or inaam wala. Joh shaksh kasrat se yeh ism e mubarik parhein gha Allah talah usein izzat or azmat ata karein ghe or makloq se usko gharz nahi reh ghi.

Al Muksitå – Adl or insaaf kaim karne wala. Joh shakhs rozana is ism ko parha karein woh InshaAllah shaitani vasvason se mehfoz rahein gha.

Al Ghaniyyå – Bharra beniyaz or beparwah. Joh shakhs rozana 70 martaba ya Ghaniyyå parha karein Allah uske mal mein InshaAllah barkat ata farmayein ghe or woh kisi ka mothaj na reh gha. Joh shakhs kisi zahiri ya batni marz ya bala me gireftar ho woh apne jism par ya Ghaniyyå par kar dam kiya karein, InshaAllah nijaat paye gha.

Al Mågni – Beniyaz or ghani bana dene wala. Joh shakhs awwal or akhir 11 martaba drud sharif par kar 1111 martaba vazifein ki tarha is ism ko parhein gha tou Allah talah usko InshaAllah zahiri or baatni richness ata farmayein gha. Subho ki namaz ke saath ya isha ki namaz ke saath is ko parhein or surat muzammil bhi talawat karein.

Al Màniå – Rok dene wala. Joh shakhs is ism ko bakasrat parhein InshaAllah woh har sharr se mehfoz rahein gha.

Addaarå – Nuksan phonchanein wala. Joh shakhs jhummein ke shabh mein 100 martaba yeh ism partha karein woh InshaAllah sab zahiri or baatni aafton se mehfoz rahein gha or kurb-e-khudawandi usein hasil hogi.

An-nafìå – Nafah phonchanein wala. Joh shakhs kashti ya sawari mein sawar hone ke baad, ya Nafìå kasrat se partha rahein, InshaAllah har aafat se mehfoz rahein gha.

An-noorå – Sartapa noor or noor bakshne wala. Joh shakhs shabe jhummeh ko 7 martaba surat noor parhein or 1001 martaba yeh ism tou InshaAllah uska dil anwar-e-ilahi se munavar ho jaye gha.

Al Baaki – Hamesha rehne wala. Joh shakhs is ism ko 1000 martaba jhummein ki raat mein parhein, InshaAllah Allah talah usein har tarha ke nuksan se mehfoz rakhein ghe or InshaAllah uske tamam nek amal kabol hogein.

Al Wariså – Sab ke baad mojud rehne wala. Joh shaksh suraj nikalne ke time par 100 martaba ya Wariså parhein gha InshaAllah har ranj o gham or sakthi or musibat se mehfoz rahein gha aur khatma-bil-khair hoga. Or joh log maghrib or isha ke darmiyan ye ism 1000 martaba parhe gha, har tarha ki pareshani se Allah talah InshaAllah mehfoz rakhein gha.

Arrasheedå – Hadayat deine wala. Agar rozana is ism ka wird rakhein tou tamam muskhilat InshaAllah door hojaye ghi or karobar mein khob taraki hogi.

As-saborå – Barhein sabr or tahammul wala. Joh shakhs suraj nikalne se pehle is ism ko100 martaba parhein woh InshaAllah us din har musibat se mehfoz rahein gha or dhusman or hasadon ki zubanein bhand rahein ghi. Joh shakhs kisi bhi tarha musibat mein gireftar ho, woh 1020 martaba is ism ko parhein, InshaAllah us musibat se nijaat paye gha or itminanein kalb naseeb hoga.

2 thoughts on “Al-Asma-Ul-Husna – the Most Beautiful Names”

Leave a reply to Kendra D Cancel reply